рд╕ंрджेрд╢

Hello everyone,     Maine socha ki mai itnee acchi writer hu toh sbko toh pta hi hona chahiye ki mai kon hu toh aaj iss blog ko mai apna introduction blog banane wali hu.    Mera naam Harshika h aur sb mujhe Neetu aur Robineetu k naam se jantey h . Mai jaipur se hu aur after married m in Agra...Taj nagri Agra mtlb ki mera piher jaipur h aur sasural Agra.     Meri family me sb h mere parents in law, mere dever, devani unkey bacchey sb .      Mere husband ka naam Robin singh h. Aur mere ek beta h jiska naam harshit h aur usko mai harshu bulatee hu.      Ye toh hui meri family Ab my studied...   Maine SJM college se Graduation kiya h with science biology.     Mai ek house maker hu/housewife...Ek maa hu,ek wife hu,ek bahu hu aur ab ek blogger aur youtuber bhi hu.     Toh bas yahi tha mera chotu motu sa introduction.aur ager aapko aur bhi kuch janna ho toh Aap comment kr sktey ho... koi suggestions ho toh wo bhi de sktey ho.      Miltee hu next post me till then bbye.

My morning routine...neetutomar.blogspot.com

Hi,  рдирдорд╕्рддे, jmd.... Everyone!!  Last post k liye m sorry pta nahi kya hi hua tha mujhko.kabhi kabhi hota h na aisa ki mann krta h kuch na kare, thoda ro le ya kuch nahi toh bas sotey hi rahe . Chidchidey se ho jatey h . Jaise ander se bahut dhukhi h , haar gaye h kuch aisa type bas wahi hua tha mujhko.     Toh aaj mood sahi h mera toh socha thoda kuch likha jaye.    Abhi jb mai likhne baithi hu toh 11:30 ho rahe h.      Mai aaj apna morning routine share kr rahi hu. Mostly hr mums/mom/рдоाँ/рдордо्рдоी mother ka yahi routine hota h .      Phir bhi m sharing with u hope u enjoy that.      ◆Mai 5:15 am ka alarm lga kr sotee hu mtlb ki mai 5:15 pr uth jati hu.      ◆Uthtey hi bed k sirhane pr maine ganeshaji rakhey hue h unkey darshan krtee hu aur unko haath jodkar aaj ka din shubh ho ye pray krtee hu aur phir floor pr legs rakhtey hi dhartee maa ko touch kr unki blessings letee hu.           I know aaj k jamane me ye sab koi nhi krta but mai krtee hu intact ye

Mann se mann ki baat only for me not any other person

Hello friends,        Mujhe nhi malum ki mujhe kya likhna h bas itna malum h ki aaj mai bahut upset hu aur kuch likhna h.           Mai ye bhi jantee hu mere upset hone se kisi ko koi fark nhi pdta kisi ko bhi nhi         Sochtee thi ki ager dhukhi hu toh bhagwaan k samne rona chahiye taki wo dekhe aur humaree problem dur kr de pr aisa nahi hota, pta nhi q....         Aaj bahut hara hua sa feel kr rahi hu kuch smjh hi nhi aa raha kya karu aur kya nhi.          Sari duniya mtlb ki duniya rh gayee h whole world mean world.  Koi bina mtlb k kisi se baat tk krna nahi pasand krta. Sb apna mtlb pura krne me lage h .               Aisa lg raha h bas bahut sara ro lo.pr rona bhi toh tb chahiye na jb un aasuo ko pochne wala koi ho.          Ager koi iss post ko read kare toh please don't laugh on me. Aapkey sath kabhi aisa hua h ya nhi I don't know. But pta nhi q kabhi kabhi mai life se bahut thak si  jatee hu mann krta h bas ab bas ab aur nhi.                  

Nails care and cleaning

Hello friends,       Last blog me hands se related tips the ab ager nails ko avoid kiya jaye toh ye nails aur hmarey hands k sath nainsaafi hogi. Toh aap smjh hi gaye honge ki mai nails k bare me iss blog me kuch knowledge de rahi hu jo mujhe pta h.aur I want if you know about nails please comment kijiye ya koi suggestion dena chahtey h toh ur value able suggestions always welcome.....          Toh batey bahut ho gayee ab hum apne topic pr aa jatey h.        Hands k sath sath nails ki care krna bhi jaruri hota h.         ЁЯШИ  apne nails ko safe rkhne k liye bottle, dibbey etc ko nails se kholne ki bhul kabhi bhi na kare.       ###   nails ka size equal and beautiful rkhne k liye nail cutter pr bane ragmark se ghise.                  Aur unhe sunder dikhane k liye shape me rakhey jo shape aapko pasand ho kyunki aaj kl golakaar k sath sath square shape bhi prachalan me h.                   Nails hands ya legs kisi k bhi ho time to time cut krtey rhna chahiye.        

hands care...hatho ki sahi dekhbhal

Hello friends,                 Welcome back to my blog. Iss blog me hum hatho ki sahi dekhbhal kaise kare iss topic pr baat krne wale h.                      Hatho k sondrya ki importance face k sondrya se jyada hoti h because hands not only beauty k pratik h apitu bhavnao k bhi wahak h.                     Mostly girls do hi chizo pr dhyaan deti h apne face aur apne kapdo pr. Ve apne hands and legs ko ignore kr deti h.jbki nature ka effect sbse jyada hands pr hi pdta h. Sardi ho garmi ho sbka effect hmarey hands pr jyada pdta h aur Inn pr dhyaan not dene se yr dry, ruff and jhuridaar ho jatey h, jo hmaree beauty ko fika kr dete h                        Apne ghr k sare kaam kr lene k baad hands ko acche se clear kr lena chahiye.                          Sbzi katne k baad hume hands wash kr lena chahiye                           Yadi kaam krtey time ya barten wash krne baad nails me Mel jm gya ho toh usse kisi tili ya silayee se nikaal dena chahiye.              

white hairs ka upchaar

Hello friends,               Welcome in my blog !!      Friends iss blog me mai white hairs ki problem se pareshaan logo k liye kuch tips layee hu. I hope aapkey liye useful hoge.      Phley white hairs samaya k sath aaya krtey the but aaj kl hr dusre insaan ko white hairs ki problem hoti h. Vaise toh market me aise bahut se sadhen  h jinse white hairs ko hide kiya ja skta h chupaya ja skta h. Pr ager iss problem ko hamesha k liye hi dur kr diya jaye toh it's better na. Tip 1:                 Dry  (sukhey )aawley k churen ko pani k paste bnakr siir pr lep kare and after 15 mins thende pani se wash kare . everyday aisa krne se baal kale hone lagege . sath hi aawle ko food me shamil kr le toh aser aur bhi jaldee mileage sath hi hair fall ki problem bhi nhi rahegee. Tip 2:              One spoon sukhey aawley ka churen do ghunt pani k sath sotey time lene se kuch hi Dino me aapkey baal white hone band ho jayege. Tip 3:              Nimboo k ras me pisa

kisi bhi lipstick ko matt lipstick kaise bnaye?

рдЪрд┐рддреНрд░
Hello friends,      Welcome back to my blog aaj mai baat krne wali hu matt lipstick k bare me jo aaj kl fashion me in h .aap koi bhi celebrity ko dekh lijiye matt lipstick hi use krtee h kare bhi q nhi after all summers h.     Matt lipsticks dekhne me jitnee acchi lgtee h utnee hi expansive bhi hoti h . so hr koi la sakey possible nhi . so mai kuch aisa bnane wali hu jisse aap koi bhi lipstick ko matt lipstick me convert kr sktey h.toh let's start it..... 1.    Sbse phley lips pr hum koi bhi foundation, BB cream ya concealer ka use kr sktey h. Mai LA girl ka use kr rahi hu aap jo bhi  aapkey pass h unka use kr sktey h. 2 . foundation, concealer ya BB cream ko lips pr lgane k baad hum lips pr compact powder ka use karenge. Aur isse hume bahut hi light handed lgana hoga. Aap koi bhi compact powder use kr sktee h. 3.  Third step me hum lips pr lip linner ka use karenge aur pure lips pr is ko apply kr lenge. Mai ya