Kanagat/pitr paksh special information

Hello everyone,
   Aaj k iss blog me mai kanagat mtlb Ki pitr paksh k bare me important jankari dene Wali Hu. Ager aap nhi jantey h ye kya hota h kyu inhe puja jata h ya mnaya jata h aur Ager na mane ye SB toh kya ho skta h aur kare toh kya laabh hota h aur kaise inhe mnaya jaye mtlb Ki Inn dino me kya kare aur kya nhi bas yahi SB h.
       Toh iss post starting se last tk ready kijiyega maybe aapki bahut si problems Ka solution iss post me mil sktA h

 


 -------Sbse phla question Jo mind me aata h wo h ki ye kanagat kya hota h-------

        Kanagat ek paksh h pitra paksh jaisa Ki naam se hi pta chal raha h aisa paksh ya samay ya time Jo pitra mtlb pitro Ka ho. Ab soch rahe hoge ki ye ------pitr kya hota h-----

Pitr mtlb hmare wo apne jo ab iss duniya me nhi h wo mar kr pitr bn jatey h.ab Soch rahe hoge Ki mar kr toh dusra jnm ho jata h ye pitra ka kya chakker h.

JB koi mar jata h toh uska ek din me jnm nhi hota h mrtey hi pr Mai apnee language me kahu toh ye ek madhayam h apno ko Yaad krne Ka kyunki mujhe Sare argument k aage yahi Sbse best lgta h.
  Aur mantee isliye hu kyunki Mai aapko apnee real story sunatee hu maybe aspko thoda kuch smjh aaye.

Ek bar meri mother in law (maa) gulabjamun bna rahi thi toh wo oil me fry hone ki jgeh jump krne lage pta nhi tha TB tk ki ye kya ho raha h phir inki tayee ji ko bulaya unhone kaha kuch pitro ka h hume kaha aap hi dekh lijiye kya h aur kya nhi.
    Unhone Ghar k SB member ko bulaya aur ek matki beech me rakhi mtlb gol ghera bnakr baith gaye the phir unhone sbhi bade budo ko Yaad kiya aur kaha humse koi glti hui ho toh sanket dijiye. Aur jo hua wo Soch se bhi pare tha. 
      Wo matki hwa me jump ki apne aap hi aur meri saas k god me aa gayee .
   Toh ye toh mai jantee hu pitra hotey h aur aap sb bhi manoge.

      Inki puja Vidhi----


   Puja k liye jyada kuch nhi poornima se amawasya tk Daily phley pitro ka snan kraya jata h mtlb ek daab aatee h uss pr pani daltey jate h aur khtey jatey h aao SB bade bude devtao snan Karo.

    Iss baat ka dhyaan rahe ki Ghar k aadmi hi iss pooja ko krtey h aur wo bhi jo ya toh Sbse bada ho ya Sbse chota

   Toh mere toh father in law krtey h. Iskey baad ek choti si kandi pr ghee bura aur prathey ya emarti jalebi ya laddoo se bhog lga dete h aur ek lotey me pani se thoda sa Pani pila dete h.
    Toh ab aap smjh hi gaye hoge ki daily kaise pooja krtey h.


Ab amawasya wale din Ki puja Vidhi---

Amawasya wale din pandit aur panditaen ko bula lete h SB same hi h bas aaj in logo ko khana khilatey h khane me aap kuch bhi bna sktey ho pr

   Kheer,aaloo ki kachori,torayee ki sbzi,muli ki bhujiya rkhna jaruri hota h.

Baki aap kuch bhi bna sktey ho.hom same hi h bas bhog me aaj Jo bnaya usko shamil krtey h.aur bhog ko chaar hisso me baant dete h mtlb 

  Ek hissa hom,Dog ЁЯРХ,cow ЁЯРД, crow Ka bhag nikal dete h aur pandit panditaen ko Jima dete h.

   Jimane baad unhe aap apnee shradhanusaar dakshina de kr aur unkey pair chukr unka aarshiwaad lekr unko vida kr dete h.
    Toh ab aapko smjh aa hi gaya hoga ki kaise puja Vidhi h kya krtey h kaise krtey h.

Inki pooja q krnee chahiye----

   Inki pooja se inkey aarshiwaad se maine rank ko raja bntey dekha h sare ma'am aasani se ho jatey h aur inkey naraz hone pr ghar me death tk hotey dekhee h. 
  Toh inhe bhuley bisrey smjh kr mat bhuliyega ye hmare bade bude h inka aarshiwaad Kabhi khali nhi jata h 
    Toh Puri shradha aur vishwaas k sath kijiye sare bigdey aur rukey kaam ho jayege.


I hope aapko ye sari information bahut Jaan aayegee aur jld hi amawasya h uss din aap jarur se ye Jaan kijiyega ager aapne purey 14 days nhi kiya TB bhi aap last wale din inka hom jarur kijiyega.
  Ager iss post se related koi bhi question mind me ho toh jarur comment box me kijiyega Mai reply jarur karugee.
    Miltee hu next post me new post k sath.
       "Om pitray namh"

рдЯिрдк्рдкрдгिрдпाँ

рдЗрд╕ рдм्рд▓ॉрдЧ рд╕े рд▓ोрдХрдк्рд░िрдп рдкोрд╕्рдЯ

Nails care and cleaning

рдоाрд╕िрдХ рд╢िрд╡рд░ाрдд्рд░ी 11 рд╕िрддंрдмрд░ 2023

Param Ekadasi (Adhik Mas): Saturday, 12 August 2023